抖阴社区

part 1

2.3K 104 5
                                    

It's started from charu and neerajs marriage.
Abhira and armaan got the marriage card of charu every family member goes to wedding hall to stop that marriage.

Neeraj to sanjay
Neeraj : uncle acha hua ki un poddars ko aapne shadi mein nahi bulaya aur jald se jald shadi karana ye aapka best decision hai.
Abhira and family enter to the hall.
Abhira : koi hume yahan bohat miss kar raha tha to hum aa gaye ye bhi jaan lo ki charu ki shadi tumse nahi hone wali.
Sanjay : aap log phir tamasha karn aa gaye meri beti ki shadi hai aur mujhe pata hai meri beti ke liye sahi kya hai galat kya hai. Mein haath jodta hun aap logon ko yahan pe tamasha mat kijiye meri beti ka ghar basne dijiye.
Abhira : karodon ka deal aap kisi aur ke saath bhi kar sakte ho par beti chali gayi to dusri beti kahan se layenge. Neeraj se shadi karake charu ki zindagi barbaad mat kijiye.
Sanjay : apni mahanta ka roop dikha kar thak nahi jaati ho. Par mujhe tumpe gussa nahi taras aa raha hai. Kyun ki tum is poddars ke bich ab meri jagah pe ho. Mujhe shuru se is ghar mein kisi ne pasand nahi kiya jese tumhein pasand nahi karte. Mene shuru se iss firm ki zimmedaari uthai jese ab tum utha rahi ho jis tarah meri jagah tumhein laya gaya hai kal ko tumhari jagah bhi koi aur hoga. Janti ho kyun because hum unke khoon nahi hai.
Abhira : phuphasa aap dadisa ko galat samajh rahe ho.
Sanjay : mein kuch galat nahi samajh ta hoon aaj tak inhone sirf mera istemaal kiya hai inka bada beta to firm mein kaam nahi karta aur manoj uske to baat to na hi karo to acha hai. Aur rohit wo to jabse aaya hai tabse ek bhi case nahi sambhal paya. Armaan to wese bhi inke ishaaro pe naachta hai nahi to firm ke saare kaam chod ke apni biwi ke peeche bhagat hai.
Is firm ke liye saari mehnat mene kiya hai Sare clients bhi mein lekar aaya par jab baat firm takeover ki aati hai maasa ko khun khan da sab yaad aata hai. Mene ye bhi maan liya par ab jab mere beti ka ghar basne jaa raha hai aur badle mein humari ek business deal bhi ho raha hai to kya galat hai isme.

Ye mera family matter hai so please🙏 leave.
Dadisa : wo hamari naatin hai aur hum uske liye yahan aaye hai. Ap hamein apna pariwaar manon ya na manon wo hamare parivaar ka hissa hai. Aaj se hum yaad rakhenge ki bansals aur poddars ka parivaar alag hai.
Abhira : dadisa hum ek hi parivaar hai
Dadisa : nahi ladki ye decision jamaisa ka hai humara nahi.
Guests started to come wedding started
Neeraj ne charu ko barmala pehnaya charu was crying and she remember about her moments with her dev sir.
Poddars were trying to stop the wedding but neerajs goons trapped them. They were trying to come out of goons hold.
Rohit : charu please ye shadi mat kar tu bas ek baar na bolde shadi ke liye baaki hum dekhlenge.
Armaan : charu apne wareme soch apne papa ke prestige ke bareme nahi apne khushiyon ke baare mai soch.
Krish : papa please ye shadi rokdo charu uske saath khush nahi rahegi.
Abhira : charu aaj agar tumne kuch nahi kiya to tum aage jakar kuch nahi karpaogi are wo charu kahan gai jo apne sapnon ke liye saare ghar walon se ladi aur apna sapna pura kiya jyada mat socho charu mana kardo ki tumhe is neeraj jese ghatiya insaan se shadi nahi karni.
Vidya : kajol tum to roko is shadi ko charu tumhari beti ha agar aaj ye shadi nahi ruki to charu ki zindagi barbaad ho jayegi.
Armaan : papa aap kuch kijiye na
Madhav : agar charu is shadi ke liye mana karde aur iske khilaf complain file kare to is ghatiya insaan ko ghasit te hue yahan se leke jaunga. Agar charu aise hi chup rahi to mein bhi kuch nahi kar sakta.
Charu got up from mandap and slapped him.
Neeraj : ye kya badtameezi hai
Charu : badtameez gira hua insaan Tu hai . Jab ek ladki uncomfortable feel karti hai no bolti hai to usko nahi chuna hai par tumne kya kaha ki mein chotese baat ko khich rahi hun. Agar mene tumhe na kaha to koi aur ladka mujhse shadi nahi karege kyun ki mera ek boyfriend tha. Agar ladke tumhare jese hote hai to zindagi bhar kuari rehjaungi par tum jese ladke se shadi nahi karungi.
Neeraj parents : bansal aapne apni beti ko yahi sanskar diya hai jo apni hi shadi mein itna bada bakheds khada kar rahi hai.
Sanjay : mein charu se baat karke sab kuch thik kardunga aap tension mat lijiye.
Neeraj parents : sab kuch thik karne ka time ja chuka hai. Bhul jaiye is shadi ko aur business deal ko bhi.
Sanjay : nahi esa mat kijiye mein apke samne haath jodta hun aap ye rishta mat todiye aap jo kahenge mein wo karunga .
Neeraj : thik hai mein abhi bhi aapki beti se shadi karne ke liye tayar hun par usse kahiye ki mere peron par girke naak ragadke mujhse maafi mange.
Sanjay also got angry listening this said
Sanjay : meri beti Sanjay bansal ki beti tumse maafi mange pair pakadke naak ragad ke. Mein sochta tha tum ek ache ladke ho charu naadan hai bawakoof hai abhira aur armaan ki baaton mein aakar ye sab kar rahi ho par nahi jab tum meri beti ko saare mehmanon ke samne pair pakad ke maafi mangwa rahe ho aage jake kya kuch nahi karoge. Tum to meri beti ke layak nahi ho tum meri kya kisi ke beti ke layak nahi ho.
Neeraj father : Sanjay ji ap mere bete se aisa bartaav kar rahe ho deal ko to bhul hi jaiye.
Sanjay : are bhad mein gayi deal aur yaad rakhiye usme hum dono ka faida tha mera akele ka koi loss nahi hoga utna hi looss aapka bhi hoga. Aur jaiye yahan se meri beti ki shaadi aapke bete se nahi hogi.
Neeraj parents : chalo beta yahan pe baho bezzati hui hamari.
Neeraj and his parents about to go from there  charu again slapped neeraj
Charu : yaad rakhna ki ladki agar na kahe to uska matlab na hi hota hai.
Neeraj : ye tumne Acha nahi kiya iska badla mein jarror lunga.
They go to their home.

_________________________________

Hope you all will like ❤the story.

Please😫🙏🙏💓 vote and comment💬.

Do you like the part one of this story let me know in the comments💬 section.

Agar kuch changes karne hai to mujhe comment💬 section mein bataiye apka review mere liye bahat matter karta hai.

See you in the next chapter.

abhimaan ?Where stories live. Discover now